बुधवार, 23 मार्च 2011

bahti hawa

bahati hawa ka jokha aaya,
dekho uska sab kutch uda le gaya,
wo na jani thi,na samji ti
ki kal kya hone wala he
ak pal me sab kutch bikharne wala tha
na waqt use sambhal paya na wo waqt ko sambhal pai

or le gaya waqt uska har sapna cura
or chod gaya tanhai ka aalam
sochti he wo aab kya hoga
kya wo bikhre palo ko samet legi    kya aapne aagan me bhi roshni ke diye jala legi
rok sakegi tanhai ke aalam ko
mita sakegi aandhkar se bahre jivan ko
kar sakegi sare jaha me roshni
kya milega use uska koya hua samman
jis waqt ne use choda kya wo waqt hi louta sakega uska maan

bahti hawa-----------------
dakho uska---------------
wo bi rukne wali nahi ti
soch liya tha kutch karke dikhungi
apna koya samman kudh hi pake rahungi
mushkilo se ladne ko tayaar ti
bhad chale te kadam uske
dundh rahi ti apni manjil ko
umid thi aapne bade hue kadmo ko ladkhdane nahi degi
koshish puri ti ki apni manjil tak pahuch kar hi dum legi
kutch naye sapno ko bunane lagi ti
ha; is bar sapno ki dor me majbuti thi
taki koi hawa ka jouka tod na paye us dor ko
mile manjil or dundh paye wo apne naye chor ko
  har subha ki kiran ka ujiyara
dur kare uske jivan ka andhiyara
mil jaye use uski manjil
tham jaye dukho ka silshila 
lout aye kushiya or fela sake jag me ujiyara
kartvyata ke path pe rahkar
sanmarg ke raste ko na chode
apne rukh ko apni nai manjil ki taraf mode
path ka rasta galat na ho
chahe uska vasta mushkilo se hi juda ho
har mushkilo ki dava he
isliye jine ki icha or na marne ki chaha he
bahti hawa--------------------
dekho-------------------------

   wo kutch he
kahati he sabse ki waqt kesa bhi ho bura ya acha
   par kutch sikha jata he
use bhi is waqt ne bahut kutch sikha diya
har parishtiti me jina or mushkilo se ladna sikha diya
is waqt se use na koi gila ta na koi shikva
haa;  dukh to tha use is waqt ke dard ka
par fir yahi, ki har dard ki dava hoti he
or isi dard me mushkura kar jine ki chaha hoti he
bahti------------------
dakho--------------------
   louat aayegi ak din uski bhi sari kushiya
mil jayegi manjil ,kil jayegi kaliya
charo taraf ujala hoga,naye sapne man me honge
or hogi un sapno ko puri karne ki chaha
bahti hawa-------------------------
dekho----------------------
                                    swati jain 
   

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

comment ======================= do as u like