aaj apni baalkni mai khda nzar uthata hu
aaj aasmaaan ke saamraajaye par akele chaand ka adhikaar hai
koi taara nahi baadal nahi aasma mai chaai dhul thandi hawao ki
lahre ek manmohak gandh ke sath be rahi hai chaand pure srur mai
chaandni ke aagosh mai mai saare jaha ko samet ja raha hai
mano ishak ki aandhi aayi ho
or niche jamin par khali suni sadko par kuch kagzo ke udne ki sarsaraht bhari
aawaaze pili roshni wali lamp post ki batch par koi baitha hai
20 saal ki koi yuvati or humumra ka yuvak sayad koi premi joda raha hoga esi raato mai ya to diwaane nzar aate hai ya paagal
dono chaandni ke aagosh mai khud ko ek dusre k prem mai samrpit kiye ja rahe the




